Chor-sahib Se DarKHwast
ek surKHi chor ne ghar ka safaya kar diya
ghar jo apna tha use bilkul paraya kar diya
ghar ke kapDe rupaya paisa aur talai zewraat
le gaya hai chor ye saman ba-waqt-e-wardat
ye jo farmaya ki ghaeb ho gae hain zewraat
is ka ye matlab hua choron mein hain kuchh begamat
hai jo us saman mein majmua koi ashaar ka
is se kuchh andaza hoga chor ke mear ka
qimti saman mein murgha bhi shamil hai agar
dusri line pe sochenge phir arbab-e-nazar
chor-sahib ko pakaDne mein police ho ab jo fail
main bataun kis tarah mujrim ko ho sakti hai jail
jis ke ghar chori hui hai bhul jae ye rapaT
yun to dil mein chor ke ho jaegi paida kapaT
nahaq us shahri ke dil ki hasraton ka KHun ho
wo ab ek darKHwast likkhe jis ka ye mazmun ho
chor-sahib aap ne taklif farmai thi raat
ittifaqan so raha tha main ba-waqt-e-wardat
aap mere ghar ba-sad-ummid-o-arman aae the
balki ghar mein apne hi manind-e-mehman aae the
aap ki KHatir na ho pai bahut afsos hai
ghar mein thi us waqt tanhai bahut afsos hai
aap ne KHadim ke ghar ka jo safaya kar diya
jis jagah thi gandagi rahmat ka saya kar diya
is safai ke liye hum aap ke mamnun hain
han abhi ghar mein kai sehhat-talab mazmun hain
chor-sahib aap ko taklif to hogi magar
phir safaya chahta hai kuchh makanon ka gutter
aap phir taklif farmaen jo az-rah-e-karam
is mohalle mein gharibon ka bhi rah jae bharam
ghar ko aaina bana den ab ke jab tashrif laen
waqt pahle se bata den ab ke jab tashrif laen
mera afsana jo ghaeb kar diya hai aap ne
is mein apna rang bhi kya bhar diya hai aap ne
is ka kya hoga ye jo unwan aadha rah gaya
ye bhi lete jaen jo saman aadha rah gaya
(1907) Peoples Rate This