Chaalis Chor
phir ek KHabar mein ye elan KHubsurat hai
ki ek farm ko kuchh choron ki zarurat hai
kuchh aaise chor jo choron ki dekh-bhaal karen
jo pasban ke faraez ka bhi KHayal karen
KHabar mein is ki wazahat na kar saka aKHbar
ki kaise chor hain mazkura farm ko darkar
na jaane kaun se choron ki farm ko hai talab
tere jahan mein to chaalis chor hain ya-rab
diler chor jawan chor karobari chor
tamam shahr mein bad-nam ishtihaari chor
ajib chor hunar-mand chor qabil chor
bayaz chor qalam-dan chor file chor
zalil chor KHatarnak chor shatir chor
faqat nigah churane ke fan mein mahir chor
sharif surat o maqul chor asli chor
phalon ki tarah faqat mausami o fasli chor
purane chor nae chor KHandani chor
zamin ke randa-e-dargah aasmani chor
kisi buzurg ke nur-e-nazar tufaili chor
kisi Dakait ke shagird sirf zeli chor
safed roza ke paband allah wale chor
namaz o roza ke paband allah wale chor
siyasiyat mein uljhe hue siyasi chor
sada-bahaar girah-kaT bara-masi chor
charagh-chor qalam-chor raushnai-chor
charagh-chor ke bhai diya-salai chor
jo apne bap ki zid hain wo donon bhai chor
wo intihai sharif aur ye intihai chor
bulandiyon se ba-tadrij niche girte chor
har ek shahr mein maujud chalte phirte chor
sharif chor mizajan bure nahin hote
ki un ke hath mein chaqu chhure nahin hote
ye chor wo hain jo karte hain shauqiya chori
ye kya karen ki sharafat hai in ki kamzori
jigar ke pas ek aise buzurg aate the
jo un ki jeb se baTwa zarur uDate the
ye rail mein jo milenge to so rahe honge
ye jab bhi bas mein khaDe honge ro rahe honge
gae jo khet mein kuchh kakDiyan chura lae
kabhi jo ban mein gae lakDiyan chura lae
kisi kunen pe chaDhe baalTi chura lae
kisi sarae mein Thahre dari chura lae
KHuda ke ghar mein gae rang hi naya lae
namaziyon ki nai jutiyan chura lae
jo kuchh nahin to chura lae bair beri se
ye chor baz nahin aate hera-pheri se
kisi mazar pe pahunche diya chura lae
mushaere mein gae qafiya chura lae
ghazal chura ke kabhi KHidmat-e-adab kar li
pakaD gae to wahin mazarat talab kar li
jo un ka raaz batane laga koi bhedi
to ek aadh ghazal us ko tohfatan de di
ye chor tanz se qabu mein aa nahin sakte
mere farishte bhi in ko miTa nahin sakte
rahen na chor ye shaer ke bas ki baat nahin
tamam shahr hai do chaar das ki baat nahin
na nazm jis mein hai choron ka zikr bittafsil
mere KHayal se hai ab bhi tishna-e-takmil
ye list choron ki waqti o ittifaqi hai
waraq tamam hua aur madh baqi hai
(1830) Peoples Rate This