Allama-iqbaal Ko Shikwa
kisi se KHwab mein 'iqbaal' ne ye farmaya
ki tu ne kar diya barbaad mera sarmaya
mera kalam gawayyon ko saunpne wale
nazar na aae tujhe mere qalb ke chhaale
main chahta tha musalman muttahid ho jaen
ye kab kaha tha ki hum bahr-e-munjamid ho jaen
meri ye shan ki dariya bhi tha mera muhtaj
tera ye haal ki mulkon se mangta hai KHiraj
kaha tha main ne gharibi mein nam paida kar
ye kab kaha tha ki mal-e-haram paida kar
mera tariq amiri nahin faqiri hai
teri KHurak chapati nahin KHamiri hai
ilaj aatish-e-rumi ke soz mein hai tera
KHayal shabnam o zeba ke pose mein hai tera
mere kalam se tujh ko sabaq zara na mila
kahan ki rah-e-haram ghar ka rasta na mila
KHudi buland ho be-shak yahi thi meri rae
ye kab kaha tha ki qawwal is mein hath lagae
(1794) Peoples Rate This