Zahr Bimar Ko Murde Ko Dawa Di Jae
zahr bimar ko murde ko dawa di jae
hai yahi rasm to ye rasm uTha di jae
wasl ki raat jo mahbub kahe good night
qaeda ye hai ki english mein dua di jae
aaj jalse hain bahut shahr mein leader kam hain
ehtiyatan mujhe taqrir raTa di jae
mar khane se mujhe aar nahin hai lekin
piT chukun main to koi wajh bata di jae
meri wahshat ki KHabar ghar ko hui hai jab se
chhat ye kahti hai ki diwar haTa di jae
bas mein baiThi hai mere pas jo ek zohra-jabin
mard niklegi agar zulf munDa di jae
(1615) Peoples Rate This