Ya Rab Mere Nasib Mein Akl-e-halal Ho
ya rab mere nasib mein akl-e-halal ho
khane ko qorma ho khilane ko dal ho
le kar baraat kaun super highway pe jae
aisi bhi kya KHushi ki saDak par visal ho
jaldi mein munh se lafz jamalo nikal gaya
kahna ye chahta tha ki tum mah-jamal ho
aurat ko chahiye ki adalat ka ruKH kare
jab aadmi ko sirf KHuda ka KHayal ho
ek bar hum bhi rah-numa ban ke dekh len
phir us ke baad qaum ka jo kuchh bhi haal ho
hum to kisi se bhik nahin mangte 'figar'
lekin agar faqir ki surat sawal ho
(1790) Peoples Rate This