Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_bc596a4ca85c7f5e0b87de1ad1f91b8c, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Wo ShaKHs Kabhi Jis Ne Mera Ghar Nahin Dekha - Dilawar Figar Poetry In English - Darsaal

Wo ShaKHs Kabhi Jis Ne Mera Ghar Nahin Dekha

wo shaKHs kabhi jis ne mera ghar nahin dekha

us shaKHs ko main ne kabhi ghar par nahin dekha

kya dekhoge haal-e-dil-e-barbaad ki tum ne

curfew mein mere shahr ka manzar nahin dekha

jaan dene ko pahunche the sabhi teri gali mein

bhage to kisi ne bhi palaT kar nahin dekha

daDhi tere chehre pe nahin hai to ajab kya

yaron ne tere peT ke andar nahin dekha

tafrih ye hoti hai ki hum sair ki KHatir

sahil pe gae aur samundar nahin dekha

footpath pe bhi ab nazar aate hain commissioner

kya tum ne koi oth commissioner nahin dekha

afsos ki ek shaKHs ko dil dene se pahle

maTke ki tarah Thonk baja kar nahin dekha

(1391) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo ShaKHs Kabhi Jis Ne Mera Ghar Nahin Dekha In English By Famous Poet Dilawar Figar. Wo ShaKHs Kabhi Jis Ne Mera Ghar Nahin Dekha is written by Dilawar Figar. Read famous Poem Wo ShaKHs Kabhi Jis Ne Mera Ghar Nahin Dekha for youth and Student by Dilawar Figar. Free Download Wo ShaKHs Kabhi Jis Ne Mera Ghar Nahin Dekha in PDF.