UTThi Nahin Hai Shahr Se Rasm-e-wafa Abhi
uTThi nahin hai shahr se rasm-e-wafa abhi
bazm-e-suKHan ke sadr hain 'hashim-raza' abhi
sahab ye chahte hain main har hukm par kahun
behtar durust KHub munasib baja abhi
us dar pe mujh ko dekh ke darban ne ye kaha
Thahro ki hone wali hi hai fatiha abhi
is tarah mein ghazal koi dushwar to nahin
do-chaar lafz likh diye phir likh diya abhi
phir chand lafz likh diye phir gol ho gae
phir qafiye se bandh ke chipka diya abhi
pakDi gai radif to fauran ye kah diya
likhna kabhi tha aur main yahan likh gaya abhi
(1214) Peoples Rate This