Siyah Zulf Ko Jo Ban-sanwar Ke Dekhte Hain
siyah zulf ko jo ban-sanwar ke dekhte hain
safed baal kahan apne sar ke dekhte hain
suna hai fees hai kuchh us se baat karne ki
ye fees kya hai abhi baat kar ke dekhte hain
suna hai log siyah-fam mah-jabinon ko
laga ke dhup mein chashme nazar ke dekhte hain
suna hai jeb mein muflis bhi mal rakhte hain
so muflison ki bhi jeben katar ke dekhte hain
suna hai shauq hai un ko bhi ghuD-sawari ka
jo dur se khaDe ghamze shutar ke dekhte hain
suna hai apni basirat pe naz hai un ko
jo raat ko bhi ujale sahar ke dekhte hain
suna hai ishq mein mushkil hai matric karna
result kuchh bhi sahi form bhar ke dekhte hain
adib-o-shaer-o-fankar bote hain jo shajar
ye log phal kahan apne shajar ke dekhte hain
suna hai marne ke baad un ki qadr hoti hai
so chand din ke liye hum bhi mar ke dekhte hain
(1372) Peoples Rate This