Maine Kaha Ki Shahr Ke Haq Mein Dua Karo

main ne kaha ki shahr ke haq mein dua karo

us ne kaha ki baat ghalat mat kaha karo

main ne kaha ki raat se bijli bhi band hai

us ne kaha ki hath se pankha jhala karo

main ne kaha ki shahr mein pani ka qaht hai

us ne kaha ki pepsi cola piya karo

main ne kaha ki car Dakaiton ne chhin li

us ne kaha ki achchha hai paidal chala karo

main ne kaha ki kaam hai na koi karobar

us ne kaha ki shairi par iktifa karo

main ne kaha ki sau ki bhi ginti nahin hai yaad

us ne kaha ki raat ko tare gina karo

main ne kaha ki hai mujhe kursi ki aarzu

us ne kaha ki aayat-e-kursi paDha karo

main ne kaha ghazal paDhi jati nahin sahih

us ne kaha ki pahle rehearsal kiya karo

main ne kaha ki kaise kahi jati hai ghazal

us ne kaha ki meri ghazal ga diya karo

har baat par jo kahta raha main baja baja

us ne kaha ki yun hi musalsal baja karo

(1972) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maine Kaha Ki Shahr Ke Haq Mein Dua Karo In English By Famous Poet Dilawar Figar. Maine Kaha Ki Shahr Ke Haq Mein Dua Karo is written by Dilawar Figar. Read famous Poem Maine Kaha Ki Shahr Ke Haq Mein Dua Karo for youth and Student by Dilawar Figar. Free Download Maine Kaha Ki Shahr Ke Haq Mein Dua Karo in PDF.