Jada-e-fan Mein BaDe SaKHt Maqam Aate Hain
jada-e-fan mein baDe saKHt maqam aate hain
mar ke rah jata hai fankar amar hone tak
kitne ghaalib the jo paida hue aur mar bhi gae
qadr-danon ko taKHallus ki KHabar hone tak
kitne iqbaal rah-e-fikr mein uTThe lekin
rasta bhul gae KHatm-e-safar hone tak
kitne shabbir-hasan-KHan na bane 'josh' kabhi
mar gae kitne sikandar bhi jigar hone tak
'faiz' ka rang bhi ashaar mein aa sakta tha
ungliyan sath to den KHun mein tar hone tak
chand zarron hi ko milti hai ziya-e-KHurshid
chand tare hi chamakte hain sahar hone tak
dil-e-shair pe kuchh aisi hi guzarti hai 'figar'
jo kisi qatre pe guzre hai guhar hone tak
(1154) Peoples Rate This