Yun Dida-e-KHun-bar Ke Manzar Se UTha Main
yun dida-e-KHun-bar ke manzar se uTha main
tufan uTha mujh mein samundar se uTha main
uThne ke liye qasd kiya main ne bala ka
ab log ye kahte hain muqaddar se uTha main
pahle to KHad-o-KHal banae sar-e-qirtas
phir apne KHad-o-KHal ke andar se uTha main
ek aur tarah mujh pe khuli chashm-e-tamasha
ek aur tajalli ke barabar se uTha main
hai teri meri zat ki yaktai barabar
ghaeb se to ubhra to mayassar se uTha main
kya jaane kahan jaane ki jaldi thi dam-e-fajr
suraj se zara pahle hi bistar se uTha main
pathrane lage the mere aasab koi dam
KHamosh nigahon ke barabar se uTha main
ek aag mere jism mein mahfuz thi 'azar'
KHas-KHana-e-zulmat ke andar se uTha main
(771) Peoples Rate This