Wo Bahte Dariya Ki Be-karani Se Dar Raha Tha
wo bahte dariya ki be-karani se Dar raha tha
shadid pyasa tha aur pani se Dar raha tha
nazar nazar ki yaqin-pasandi pe KHush thi lekin
badan badan ki guman-risani se Dar raha tha
sabhi ko nind aa chuki thi yun to pari se mil kar
magar wo ek tifl jo kahani se Dar raha tha
larazte honTon se gir paDe the huruf ek din
dil apne jazbon ki tarjumani se Dar raha tha
lughat-e-jaan se kashid karte hue suKHan ko
main ek harf-e-ghalat maani se Dar raha tha
jama hua KHun hai ragon mein na jaane kab se
ruka hua KHwab hai rawani se Dar raha tha
wo be-nishan hai jise nishan ki hawas thi 'azar'
wo raegan hai jo raegani se Dar raha tha
(1083) Peoples Rate This