Nind Mein Khulte Hue KHwab Ki Uryani Par
nind mein khulte hue KHwab ki uryani par
main ne bosa diya mahtab ki peshani par
is qabile mein koi ishq se waqif hi nahin
log hanste hain meri chaak-girebani par
nazar aati hai tujh aison ko shabahat apni
main ne taswir banai thi kabhi pani par
hum faqiron ko isi KHak se nisbat hai bahut
hum na baiThenge tere taKHt-e-sulaimani par
us se kuchh KHas talluq bhi nahin hai apna
main pareshan hua jis ki pareshani par
pas hai lafz ki hurmat ka wagarna 'azar'
koi tamgha to nahin milta ghazal-KHwani par
(1038) Peoples Rate This