Mumkin Hai Ki Milte Koi Dam Donon Kinare
mumkin hai ki milte koi dam donon kinare
ek mauj ke muhtaj the hum donon kinare
yun aankh jhapakta nahin bahta hua pani
manzar mein na ho jaen baham donon kinare
aabaad hamesha hi rahega ye samundar
rakhte hain machheron ka bharam donon kinare
ta-umr kisi maja-e-KHush-rau ki hawas mein
bedar rahe dam hama-dam donon kinare
khulti hai yahan aa ke mere KHwab ki wusat
hote hain meri aankh mein zam donon kinare
ye fasla miTTi se kabhi tai nahin hoga
dariya ki hain wusat pe qasam donon kinare
sab sair ko niklenge sar-e-sahil-e-har-KHwab
sayyahon ke chumenge qadam donon kinare
kashti ki tarah umr KHizar-gir hai 'azar'
hasti ke hain maujud-o-adam donon kinare
(892) Peoples Rate This