MaKHfi Hain Abhi Dirham-o-dinar Hamare
maKHfi hain abhi dirham-o-dinar hamare
miTTi se nikal aaenge ashjar hamare
alfaz se khinchi gai taswir-e-do-alam
aawaz mein rakkhe gae aasar hamare
zangar kiya jata hai aaina-e-taKHliq
aur naqsh chale jate hain bekar hamare
kuchh zaKHm dikha sakta hai ye rauzan-e-diwar
kuchh bhed bata sakti hai diwar hamare
kyun chaar anasir rahen paband-e-shab-o-roz
aazad kiye jaen giraftar hamare
kyun sham se viran kiya jata hai hum ko
kyun band kiye jate hain bazar hamare
kya aap se ab saKHti-e-be-ja ki shikayat
jab aap hue malik-o-muKHtar hamare
tahsin-talab rahte hain ta-umr ki 'azar'
paida hi nahin hote taraf-dar hamare
(1014) Peoples Rate This