Lamha Lamha Wusat-e-kaun-o-makan Ki Sair Ki
lamha lamha wusat-e-kaun-o-makan ki sair ki
aa gaya so KHub main ne KHak-dan ki sair ki
ek lamhe ke liye tanha nahin hone diya
KHud ko apne sath rakkha jis jahan ki sair ki
tujh se mil kar aaj andaza hua hai zindagi
pahle jitni ki wo goya raegan ki sair ki
nind se jage hain koi KHwab bhi dekha hai kya
dekha hai to boliye shab-bhar kahan ki sair ki
thak gaya tha main badan mein rahte rahte ek din
bhag nikla aur ja kar aasman ki sair ki
yaad hai ek ek gosha naqsh hai dil par hanuz
sair to wo hai jo shahr-e-dil-baran ki sair ki
phul hairat se hamein dekha kiye waqt-e-visal
gul-badan ke sath 'azar' gulistan ki sair ki
(930) Peoples Rate This