Kuchh Bhi Nahin Hai KHak Ke Aazar Se Pare
kuchh bhi nahin hai KHak ke aazar se pare
dekha hai main ne bar-ha us par se pare
ek naqsh khinchta hai mujhe KHwab se udhar
ek daera bana hua parkar se pare
ya-rab nigah-e-shauq ko wusat nasib ho
meri nazar pe bar hai diwar se pare
tum KHud hi dastan badalte ho dafatan
hum warna dekhte nahin kirdar se pare
kuchh lafz jin ko ab koi tartib chahiye
guzre hue KHayal ke izhaar se pare
'azar' ab un ka nam-o-nishan mil nahin raha
uDta hua ghubar hai kohsar se pare
(898) Peoples Rate This