Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_8001e7bf844afa04e7b44928e3386964, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
KHud Apni Aag Mein Sare Charagh Jalte Hain - Dilawar Ali Aazar Poetry In English - Darsaal

KHud Apni Aag Mein Sare Charagh Jalte Hain

KHud apni aag mein sare charagh jalte hain

ye kis hawa se hamare charagh jalte hain

jahan utarta hai wo mahtab pani mein

wahin kinare kinare charagh jalte hain

tamam raushni suraj se mustaar nahin

kahin kahin to hamare charagh jalte hain

tumhaara aks hai ya aaftab ka partaw

ye KHal-o-KHad hain ki pyare charagh jalte hain

ajib raat utari gai mohabbat par

hamari aankhen tumhaare charagh jalte hain

meri nigah se raushan nigar-KHana-e-husn

mere lahu ke sahaare charagh jalte hain

na jaane kaun si manzil hai muntazir 'azar'

ki rahguzar mein sitare charagh jalte hain

(927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHud Apni Aag Mein Sare Charagh Jalte Hain In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. KHud Apni Aag Mein Sare Charagh Jalte Hain is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem KHud Apni Aag Mein Sare Charagh Jalte Hain for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download KHud Apni Aag Mein Sare Charagh Jalte Hain in PDF.