Khinch Kar Aks Fasane Se Alag Ho Jao
khinch kar aks fasane se alag ho jao
be-numu aaina-KHane se alag ho jao
sara din sath raho sae ki surat apne
sham hote hi bahane se alag ho jao
sher wo likkho jo pahle kahin maujud na ho
KHwab dekho to zamane se alag ho jao
shairi aise jhamelon se bahut aage hai
is nae aur purane se alag ho jao
nind mein hazrat-e-yusuf ko agar dekha hai
ain mumkin hai gharane se alag ho jao
ehtiraman mere halqe mein rahe ho shamil
ehtimaman mere shane se alag ho jao
us ko taswir karo safha-e-dil par 'azar'
ghaib ka naqsh banane se alag ho jao
(960) Peoples Rate This