Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_f7f675305daff93faa848293ba157b9f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kab Tak Phirunga Hath Mein Kasa UTha Ke Main - Dilawar Ali Aazar Poetry In English - Darsaal

Kab Tak Phirunga Hath Mein Kasa UTha Ke Main

kab tak phirunga hath mein kasa uTha ke main

ji chahta hai bhag lun duniya uTha ke main

hoti hai nind mein kahin tashkil-e-KHadd-o-KHal

uThta hun apne KHwab ka chehra uTha ke main

baad az sada-e-kun hui taqsim-e-hast-o-bud

phirta tha kaenat akela uTha ke main

kyunkar na sahl ho mujhe rah-e-dayar-e-ishq

laya hun dasht-e-najd ka naqsha uTha ke main

baDhne laga tha nashsha-e-taKHliq-e-ab o KHak

wo chaak uTha ke chal diya kuza uTha ke main

hai saat-e-visal ke malne pe munhasir

kas samt bhagta hun ye lamha uTha ke main

qurbat-pasand dil ki tabiat mein tha tazad

KHush ho raha hun hijr ka sadma uTha main

ab mujh ko ehtimam se kije supurd-e-KHak

ukta chuka hun jism ka malba uTha ke main

achchha bhala to tha tan-e-tanha jahan mein

pachhta raha hun KHalq ka beDa uTha ke main

'azar' mujhe madine se hijrat ka hukm tha

sahra mein le ke aa gaya KHema uTha ke main

(1061) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Tak Phirunga Hath Mein Kasa UTha Ke Main In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. Kab Tak Phirunga Hath Mein Kasa UTha Ke Main is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem Kab Tak Phirunga Hath Mein Kasa UTha Ke Main for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download Kab Tak Phirunga Hath Mein Kasa UTha Ke Main in PDF.