Dur Ke Ek Nazare Se Nikal Kar Aai
dur ke ek nazare se nikal kar aai
raushni mujh mein sitare se nikal kar aai
jis ne kashti ko Duboya sar-o-saman samet
wo ghani mauj kinare se nikal kar aai
rakh jhaDi jo badan ki to achanak bahar
aag hi aag sharare se nikal kar aai
peD mabhut hue dekh ke is manzar ko
dhup jab us ke ishaare se nikal kar aai
aankh mein ashk riyazat se hua hai paida
ye nami waqt ke dhaare se nikal kar aai
kaun takiya kare mahtab ki us raushni par
samne bhi jo sahaare se nikal kar aai
KHud bhi hairan hun ye soch ke 'azar' ab tak
zindagi kaise KHasare se nikal kar aai
(832) Peoples Rate This