Darun-e-KHwab Naya Ek Jahan Nikalta Hai
darun-e-KHwab naya ek jahan nikalta hai
zamin ki tah se koi aasman nikalta hai
bhala nazar bhi wo aae to kis tarah aae
mera sitara pas-e-kahkashan nikalta hai
hawa-e-shauq ye manzil se ja ke kah dena
zara si der hai bas karwan nikalta hai
meri zamin pe suraj ba-waqt-e-subh o masa
nikal to aata hai lekin kahan nikalta hai
ye jis wajud pe tum naz kar rahe ho bahut
yahi wajud bahut raegan nikalta hai
maqam-e-wasl ek aisa maqam hai ki jahan
yaqin karte hain jis par guman nikalta hai
badan ko chhoD hi jaana hai ruh ne 'azar'
har ek charagh se aaKHir dhuan nikalta hai
(848) Peoples Rate This