Bana Raha Tha Koi Aab O KHak Se Kuchh Aur
bana raha tha koi aab o KHak se kuchh aur
uTha liya phir achanak hi chaak se kuchh aur
jala ke baiTh gaya main wo aaKHiri taswir
to naqsh ubharne lage us ki rakh se kuchh aur
bas apne aap se kuchh der ham-kalam raho
nahin hai faeda hijr o firaq se kuchh aur
hamari fal hamare hi hath se nikli
bana hai zaicha par ittifaq se kuchh aur
wahi sitara-numa ek charagh hai 'azar'
mera KHayal tha niklega taq se kuchh aur
(861) Peoples Rate This