Aks Manzar Mein PalaTne Ke Liye Hota Hai

aks manzar mein palaTne ke liye hota hai

aaina gard se aTne ke liye hota hai

sham hoti hai to hota hai mera dil betab

aur ye tujh se lipaTne ke liye hota hai

ye jo hum dekh rahe hain kai duniyaon ko

aisa phailao simaTne ke liye hota hai

ilm jitna bhi ho kam paDta hai insanon ko

rizq jitna bhi ho baTne ke liye hota hai

sae ko shamil-e-qamat na karo aaKHir-kar

baDh bhi jae to ye ghaTne ke liye hota hai

goya duniya ki zarurat nahin durweshon ko

yani kashkol ulaTne ke liye hota hai

matl-e-subh-e-numu saf to hoga 'azar'

abr chhaya hua chhaTne ke liye hota hai

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aks Manzar Mein PalaTne Ke Liye Hota Hai In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. Aks Manzar Mein PalaTne Ke Liye Hota Hai is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem Aks Manzar Mein PalaTne Ke Liye Hota Hai for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download Aks Manzar Mein PalaTne Ke Liye Hota Hai in PDF.