Ajib Rang Ajab Haal Mein PaDe Hue Hain

ajib rang ajab haal mein paDe hue hain

hum apne ahd ki patal mein paDe hue hain

suKHan-sarai koi sahl kaam thoDi hai

ye log kis liye janjal mein paDe hue hain

uTha ke hath pe duniya ko dekh sakta hun

sabhi nazare bas ek thaal mein paDe hue hain

jahan bhi chahun main manzar uTha ke le jaun

ki KHwab dida-e-amwal mein paDe hue hain

main sham hote hi gardun pe Dal aata hun

sitare lipTi hui shaal mein paDe hue hain

wo tu ki apne tain kar chuka hamein takmil

ye hum ki fikr-e-KHad-o-KHal mein paDe hue hain

isi liye ye watan chhoD kar nahin jate

ki hum tasawwur-e-'iqbaal' mein paDe hue hain

sawab hi to nahin jin ka phal milega mujhe

gunah bhi mere aamal mein paDe hue hain

tamam aks meri dastaras mein hain 'azar'

ye aaine meri timsal mein paDe hue hain

(915) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ajib Rang Ajab Haal Mein PaDe Hue Hain In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. Ajib Rang Ajab Haal Mein PaDe Hue Hain is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem Ajib Rang Ajab Haal Mein PaDe Hue Hain for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download Ajib Rang Ajab Haal Mein PaDe Hue Hain in PDF.