Aankh Mein KHwab Zamane Se Alag Rakkha Hai

aankh mein KHwab zamane se alag rakkha hai

aks ko aaina-KHane se alag rakkha hai

ghar mein gul-dan sajae hain teri aamad par

aur ek phul bahane se alag rakkha hai

kuchh hawa mein bhi chalane ke liye rakkha jae

is liye tir nishane se alag rakkha hai

us ke honTon ko nahin aankh ko di hai tarjih

pyas ko pyas bujhane se alag rakkha hai

ghair-mumkin hai kisi aur ke hath aa jae

wo KHazana jo KHazane se alag rakkha hai

ek hawa si kahin bandhi hai chhupane ke liye

ek tamasha sa lagane se alag rakkha hai

KHwab hi KHwab mein tamir kiya hai 'azar'

ghar ko buniyaad uThane se alag rakkha hai

(1018) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Mein KHwab Zamane Se Alag Rakkha Hai In English By Famous Poet Dilawar Ali Aazar. Aankh Mein KHwab Zamane Se Alag Rakkha Hai is written by Dilawar Ali Aazar. Read famous Poem Aankh Mein KHwab Zamane Se Alag Rakkha Hai for youth and Student by Dilawar Ali Aazar. Free Download Aankh Mein KHwab Zamane Se Alag Rakkha Hai in PDF.