Aag Lag Jaegi Ek Din Meri Sarshaari Ko
aag lag jaegi ek din meri sarshaari ko
main jo deta hun hawa ruh ki chingari ko
warna ye log kahan apni hadon mein rahte
main ne maqul kiya hashiya-bardari ko
ye parinde hain ki darwesh hain zindanon ke
kuchh samajhte hi nahin amr-e-giraftari ko
ab hamein zindagi karne mein suhulat di jae
khinch lae hain yahan tak to giran-bari ko
ek tufan-e-bala-KHez ne manzar badla
peD tayyar hue rasm-e-nigun-sari ko
us ne wo zahr hawaon mein milaya hai ki ab
konplen sar na uThaengi numudari ko
kaun khinga mere jism ki zanjir 'azar'
kaun aasan karega meri dushwari ko
(932) Peoples Rate This