Tamkin Hai Aur Husn-e-gareban Hai Aur Hum
tamkin hai aur husn-e-gareban hai aur hum
KHuddariyon ka KHwab-e-pareshan hai aur hum
sahil se dur gharq hui kashti-e-ummid
maujon ko chheDta hua tufan hai aur hum
kis ne harim-e-naz ka parda ulaT diya
nazron mein ek shoala-e-larzan hai aur hum
teri tajalliyan hain jahan tak nazar gai
asrar-e-kaenat ka irfan hai aur hum
baalin se kaun mahw-e-tabassum guzar gaya
ab har nazar bahaar-e-bad-aman hai aur hum
waraftagi-e-ishq ne pahuncha diya kahan
KHamosh ek faza-e-bayaban hai aur hum
ai 'dil' ye sun rahe hain ki duniya badal gai
ab tak unhin hadon mein bayaban hai aur hum
(1048) Peoples Rate This