Mai-e-kausar Ka Asar Chashm-e-siyah-fam Mein Hai

mai-e-kausar ka asar chashm-e-siyah-fam mein hai

saqi-e-mast ajab kaif tere jam mein hai

dekhiye faisla-e-yas-o-tamanna kya ho

subh-e-mahshar ki jhalak tirgi-e-sham mein hai

nigah-e-mast ka phir zohd-shikan dur chale

phir Dhale baada-e-sarjosh jo is jam mein hai

chha gae shewa-e-bedad pe dilkash naghme

main qafas mein hun ki sayyaad mere dam mein hai

mutmain KHud hi nahin phir asar-andaz ho kya

pand-e-waiz abhi andesha-e-anjam mein hai

aarzu lutf talab ishq sarasar nakaam

mubtala zindagi-e-dil inhin auham mein hai

(1148) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mai-e-kausar Ka Asar Chashm-e-siyah-fam Mein Hai In English By Famous Poet Dil Shahjahanpuri. Mai-e-kausar Ka Asar Chashm-e-siyah-fam Mein Hai is written by Dil Shahjahanpuri. Read famous Poem Mai-e-kausar Ka Asar Chashm-e-siyah-fam Mein Hai for youth and Student by Dil Shahjahanpuri. Free Download Mai-e-kausar Ka Asar Chashm-e-siyah-fam Mein Hai in PDF.