Sare Nuqush Jis Pe Tere Aashiyan Ke Hain
sare nuqush jis pe tere aashiyan ke hain
dair-o-haram ghubar usi karwan ke hain
wadi-e-kohsar-o-bayaban-o-gulistan
ajza-e-rang-rang meri dastan ke hain
har chand ku-e-yar bahut fasle pe hai
badle hue abhi se mizaj aasman ke hain
hamdam hansi uDa na dil-e-dagh-dagh ki
tohfe diye hue ye kisi mehrban ke hain
hon zehn ke dariche agar wa to dekh le
parwarda sab yaqin mere husn-e-guman ke hain
kya dushmanon ki kijiye ai 'dil' shikayaten
mare hue to hum karam-e-dostan ke hain
(1093) Peoples Rate This