Rah Gaya KHwab-e-dil-aram Adhura Kis Ka
rah gaya KHwab-e-dil-aram adhura kis ka
Dhal gai shab to khula hai ye daricha kis ka
lamha lamha mujhe viran kiye deta hai
bas gaya mere tasawwur mein ye chehra kis ka
aazmaish ki ghaDi hai sar-e-maqtal dekhen
zer-e-KHanjar wahi rahta hai irada kis ka
ye jo bedar bhi hain soe hue bhi in mein
sham kis ki hai KHuda jaane sawera kis ka
rah-raw-e-aKHir-e-shab hain sabhi uktae hue
kaun kab tak hai yahan sath bharosa kis ka
mere qatil ke tajassus mein bhaTakne walo
KHun aalud hai basti mein pasina kis ka
aaina-KHana do-alam ko bana kar ai 'dil'
muntazir baiTha hai warafta-o-shaida kis ka
(1347) Peoples Rate This