Phir Marhala-e-KHwab-e-bahaaran Se Guzar Ja
phir marhala-e-KHwab-e-bahaaran se guzar ja
mausam hai suhana to gareban se guzar ja
shishe ke makan aur nazar ke mutahammil
diwana na ban shahr-e-nigaran se guzar ja
sab qatl ke asbab baham hain sar-e-maqtal
aise mein pas-o-pesh na kar jaan se guzar ja
phir denge wahi mashwara-e-tark-e-mohabbat
ahbab-numa halqa-e-yaran se guzar ja
kuchh dur nahin manzil-e-maqsud-e-tamanna
ek fasla-e-qurb-e-rag-e-jaan se guzar ja
ai 'dil' inhen idrak kahan namratiyon ka
jo kahte hain pal bhar mein bayaban se guzar ja
(1048) Peoples Rate This