Ada-e-hairat-e-aina-gar Bhi Rakhte Hain
ada-e-hairat-e-aina-gar bhi rakhte hain
hamein na chheD ki ab tak nazar bhi rakhte hain
na gird-o-pesh se is darja be-niyaz guzar
jo be-KHabar se hain sab ki KHabar bhi rakhte hain
kahan gaya teri mahfil mein zom-e-dida-waran
ye hausla to yahan kam-nazar bhi rakhte hain
qafas ko khol magar itna soch le sayyaad
bahut asir tere baal-o-par bhi rakhte hain
farishta hai to taqaddus tujhe mubarak ho
hum aadmi hain to aib-o-hunar bhi rakhte hain
KHusha-nasib ki diwane hain to hum ai 'dil'
kamal-e-nisbat-e-diwana-gar bhi rakhte hain
(1029) Peoples Rate This