Dekhte Dekhte Hi Sal Guzar Jata Hai

dekhte dekhte hi sal guzar jata hai

par tera gham hai ki baDhta hai Thahar jata hai

tairti rahti hai aankhon mein tu har shab aise

jaise dariya mein koi chand utar jata hai

kaun us KHwab ki tabir pe karta hai yaqin

KHwab jo nind se laDta hua mar jata hai

hum ne aankhon ki zabanon pe lagae hain qufl

warna dil teri hi aawazon se bhar jata hai

phir se duniya ki taraf dhyan lagaya hai magar

KHak itne mein tera dil se asar jata hai

(977) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dekhte Dekhte Hi Sal Guzar Jata Hai In English By Famous Poet Dheerendra Singh Faiyaz. Dekhte Dekhte Hi Sal Guzar Jata Hai is written by Dheerendra Singh Faiyaz. Read famous Poem Dekhte Dekhte Hi Sal Guzar Jata Hai for youth and Student by Dheerendra Singh Faiyaz. Free Download Dekhte Dekhte Hi Sal Guzar Jata Hai in PDF.