Ishq Ke Raste Chalte Chalte Hum Aise Majbur Hue

ishq ke raste chalte chalte hum aise majbur hue

ek zara si Thes lagi to dal ke shishe chur hue

pyar mein lakhon dil TuTe aur bane hazaron afsane

jin mein dil ka dard tha shamil wo qisse mashhur hue

sachche logon ko ye duniya jine hi kab deti hai

un se puchho jo ye jiwan jine par majbur hue

is duniya mein kuchh pane ka mul chukana paDta hai

mili hai shohrat jin ko ziyaada wo apnon se dur hue

apna ujala banT ke sab ko KHud mein hi kho jate hain

aise log magar ai duniya tujh ko kab manzur hue

(829) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Ke Raste Chalte Chalte Hum Aise Majbur Hue In English By Famous Poet Devmani Pandey. Ishq Ke Raste Chalte Chalte Hum Aise Majbur Hue is written by Devmani Pandey. Read famous Poem Ishq Ke Raste Chalte Chalte Hum Aise Majbur Hue for youth and Student by Devmani Pandey. Free Download Ishq Ke Raste Chalte Chalte Hum Aise Majbur Hue in PDF.