Aaine Mein Dekh Ke Chehra Be-shak Main Hairan Hua

aaine mein dekh ke chehra be-shak main hairan hua

dil ki duniya luT gaya hai jo dil ka mehman hua

tu ne apna chain ganwaya meri nind uDa di hai

dil ke nazuk rishte mein to donon ka nuqsan hua

tere sanson ki KHushbu se mahak rahi hai tanhai

tera ek tabassum mere jine ka saman hua

kahan gae wo jin ke dam se kheton mein hariyali thi

suni kyun ganw ki galiyan kyun aangan viran hua

kitne fankaron ne ab tak jazbon ko alfaz diye

apne gham ka sarmaya hi shair ki pahchan hua

waise to aasan nahin tha khulna band kiwaDon ka

daKHil hona dil mein lekin dastak se aasan hua

(923) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aaine Mein Dekh Ke Chehra Be-shak Main Hairan Hua In English By Famous Poet Devmani Pandey. Aaine Mein Dekh Ke Chehra Be-shak Main Hairan Hua is written by Devmani Pandey. Read famous Poem Aaine Mein Dekh Ke Chehra Be-shak Main Hairan Hua for youth and Student by Devmani Pandey. Free Download Aaine Mein Dekh Ke Chehra Be-shak Main Hairan Hua in PDF.