Hadse Umr-bhar Aazmate Rahe
hadse umr-bhar aazmate rahe
choT kha kha ke hum muskuraate rahe
yun guzarta raha zindagi ka safar
bin tumhaare qadam Dagmagate rahe
aandhiyon se adawat rahi umr-bhar
hum hawaon mein dipak jalate rahe
hajj-o-tirath ko jaane se kya faeda
gar buzurgon ka dil hum dukhate rahe
banT degi siyasat hamein do taraf
hum jo mandir aur masjid banate rahe
'dew' pine ka jis ko saliqa na tha
mai-kade un ki qismat mein aate rahe
(1754) Peoples Rate This