Saloni Sham Ke Aangan Mein Jab Do Waqt Milte Hain

saloni sham ke aangan mein jab do waqt milte hain

bhaTakte hum se un sayon mein kuchh aadhe adhure hain

samundar hai hamare samne maghrur-o-KHud-sar sa

hamein ek pul bana kar fasle sab par karne hain

andheron se ujalon tak ujalon se andheron tak

sada gardish hi gardish hai kahan jaane wo pahunche hain

zamin ke phul sone aur chandi se nahin khilte

kisi mehnat ki KHushbu se sabhi aanchal mahakte hain

wahi hain sanp wishkanya ko Das kar palne wale

meri nagri ko rah rah kar wo ab bhi zahr dete hain

har ek ehsas ki pahchan KHatt-o-KHal kho baiThi

wo apne aap mein Dube hue gum-sum se rahte hain

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Saloni Sham Ke Aangan Mein Jab Do Waqt Milte Hain In English By Famous Poet Deepak Qamar. Saloni Sham Ke Aangan Mein Jab Do Waqt Milte Hain is written by Deepak Qamar. Read famous Poem Saloni Sham Ke Aangan Mein Jab Do Waqt Milte Hain for youth and Student by Deepak Qamar. Free Download Saloni Sham Ke Aangan Mein Jab Do Waqt Milte Hain in PDF.