Zara Nigah UThao Ki Gham Ki Raat KaTe
zara nigah uThao ki gham ki raat kaTe
nazar nazar se milao ki gham ki raat kaTe
ab aa gae ho to mere qarib aa baiTho
dui ke naqsh miTao ki gham ki raat kaTe
shab-e-firaq hai sham-e-umid le aao
koi charagh jalao ki gham ki raat kaTe
kahan hain saqi-o-mutrib kahan hai pir-e-haram
kahan hain sab ye bulao ki gham ki raat kaTe
kahan ho mai-kade walo zara idhar aao
hamein bhi aaj pilao ki gham ki raat kaTe
nahin kuchh aur jo mumkin to yar 'shola' ki
koi ghazal hi sunao ki gham ki raat kaTe
(1068) Peoples Rate This