Nahin Kahte Kisi Se Haal-e-dil KHamosh Rahte Hain
nahin kahte kisi se haal-e-dil KHamosh rahte hain
ki apni dastan mein tere afsane bhi aate hain
wo jin par faKHr hai farzangi ko nukta-dani ko
teri mahfil mein aise chand diwane bhi aate hain
adab karta hun masjid ka wahan har rose jata hun
ki us ki rah mein do-chaar maiKHane bhi aate hain
hamare mai-kade mein mai bhi hai iman ki baaten bhi
yahin to ek sahab waz farmane bhi aate hain
na ghabra chahne walon se ye to ain-e-fitrat hai
ki shama nur-afshan ho to parwane bhi aate hain
(1094) Peoples Rate This