Meri Manzil Kahan Hai Kya Malum
meri manzil kahan hai kya malum
intiha gham hai ibtida malum
tum nahin mere ab ye raaz khula
main tumhaara hun ab hua malum
dil ki parwa kare koi kab tak
chahta kya hai ye KHuda malum
dur se gul ko dekhna kya hai
yun to hota hai KHushnuma malum
pas aae to asl husn khule
dur ki chiz raaz-e-na-malum
tum ko chaha baDa qusur kiya
sahw zahir hai aur KHata malum
baat banti nazar nahin aati
un ke tewar se ho gaya malum
waza-dari se chup rahun warna
hai mujhe raaz aap ka malum
kaun hai jis ko KHu-e-e-maula ka
raaz-e-sar-basta ho saka malum
is qadar jald maut aaegi
hae insan ko ye na tha malum
main wafa bhi karun gile bhi karun
mujh ko hota hai ye bura malum
kya kahen kis liye rahe matub
hum ko ab tak nahin KHata malum
chal ke 'shoala' se puchhiye kyunkar
jurm sabit hua saza malum
(1020) Peoples Rate This