Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3c1e3976fa02f1d7025f6538eaec3e26, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Gham Ko Wajh-e-hayat Kahte Hain - Davarka Das Shola Poetry In English - Darsaal

Gham Ko Wajh-e-hayat Kahte Hain

gham ko wajh-e-hayat kahte hain

aap bhi KHub baat kahte hain

aap se hai wo ya hamin se hai

hum jise kaenat kahte hain

kor-zauqi ki intiha ye hai

log din ko bhi raat kahte hain

ye ghalat kya hai tajarbe ko agar

hasil-e-hadsat kahte hain

bach nikalna fareb-e-hasti se

bas isi ko najat kahte hain

jis mohabbat pe hai madar-e-hayat

us ko bhi be-sabaat kahte hain

wo mere sher hi to hain 'shoala'

jin ko qand-o-nabaat kahte hain

(919) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gham Ko Wajh-e-hayat Kahte Hain In English By Famous Poet Davarka Das Shola. Gham Ko Wajh-e-hayat Kahte Hain is written by Davarka Das Shola. Read famous Poem Gham Ko Wajh-e-hayat Kahte Hain for youth and Student by Davarka Das Shola. Free Download Gham Ko Wajh-e-hayat Kahte Hain in PDF.