Ek Rahzan Ko Amir-e-karwan Samjha Tha Main
ek rahzan ko amir-e-karwan samjha tha main
apni bad-baKHti ko manzil ka nishan samjha tha main
teri masumi ke sadqe meri mahrumi ki KHair
ai ki tujh ko surat-e-aram-e-jaan samjha tha main
dushman-e-dil dushman-e-din dhushman-e-hosh-o-hawas
hae kis na-mehrban ko mehrban samjha tha main
dost ka dar aa gaya to KHud-baKHud jhukne lagi
jis jabin ko be-niyaz-e-astan samjha tha main
qafile ka qafila hi rah mein gum kar diya
tujh ko to zalim dalil-e-rah-rawan samjha tha main
mere dil mein aa ke baiThe aur yahin ke ho gae
aap ko to yusuf-e-be-karwan samjha tha main
ek darogh-e-maslahat-amez tha tera suluk
ye haqiqat thi magar ye bhi kahan samjha tha main
zindagi inam-e-qudrat hi sahi lekin ise
kya ghalat samjha agar yar-e-garan samjha tha main
pher tha qismat ka wo chakkar tha mere panw ka
jis ko 'shoala' gardish-e-haft-asman samjha tha main
(992) Peoples Rate This