Dekh Jurm-o-saza Ki Baat Na Kar
dekh jurm-o-saza ki baat na kar
mai-kade mein KHuda ki baat na kar
main to be-mehriyon ka aadi hun
mujh se mehr-o-wafa ki baat na kar
shauq-e-be-muddaa ka mara hun
shauq-e-be-muddaa ki baat na kar
wo to muddat hui ki TuT gaya
mere dast-e-dua ki baat na kar
jo nahin iKHtiyar mein mere
us but be-wafa ki baat na kar
ishq ki intiha ko dekh zara
ishq ki ibtida ki baat na kar
kya mila fikr ki rasai se
meri fikr-e-rasa ki baat na kar
is ki taqdir mein KHarabi thi
is dil-e-mubtala ki baat na kar
jo bhi hona tha ho gaya 'shoala'
karam-e-naKHuda ki baat na kar
(992) Peoples Rate This