Apnon Ke Sitam Yaad Na Ghairon Ki Jafa Yaad
apnon ke sitam yaad na ghairon ki jafa yaad
wo hans ke zara bole to kuchh bhi na raha yaad
kya lutf uThaega jahan-e-guzaran ka
wo shaKHs ki jis shaKHs ko rahti ho qaza yaad
hum kag uDa dete hain botal ka usi waqt
garmi mein bhi aa jati hai jab kali ghaTa yaad
mahshar mein bhi hum teri shikayat na karenge
aa jaegi us din bhi hamein shart-e-wafa yaad
pi li to KHuda ek tamasha nazar aaya
aaya bhi to aaya hamein kis waqt KHuda yaad
allah tera shukr ki ummid-e-karam hai
allah tera shukr ki us ne bhi kiya yaad
kal tak tere bais main use bhula hua tha
kyun aane laga phir se mujhe aaj KHuda yaad
(1124) Peoples Rate This