Kal Se Aaj Tak
magar wo sab kuchh bhula chuki hai
ki jis ke hamrah bita bachpan
ki jis ke hamrah thi jawani
umangen parwan chaDh rahi thin
wo be-KHabar roz-o-shab ki yaaden
kabhi kabhi chhoTi moTi baaton pe ruTh jaana
na baat karna na sath rahna
jo main manaun to wo na mane
wo pyar kya tha KHuda hi jaane
magar wo sab kuchh bhula chuki hai
ki jis ke hamrah bita bachpan
ki jis ke hamrah thi jawani
jo hosh aaya
to us ne ek sath marne-jine ki khain qasmen
magar wo sab kuchh bhula chuki hai
ki jis ki zulfon mein zindagi ki tamam qadren ulajh gai thin
ki jis ke mathe ki surKH bindi mera nasiba jaga rahi thi
ki jis ki nazron se main ne yaksaniyat ki mai pi
ki jis ke nazuk labon pe mere liye tabassum ki raushni thi
ki jis ki sanson mein mere sangit ki sada thi
ki jis ke sine ki dhaDkanon mein mere liye ek zalzala tha
ki jis ki guftar-e-narm-o-nazuk ne zahr-e-shirin pilae mujh ko
ki jis ke zanu pe mera sar tha
magar wo sab kuchh bhula chuki hai
ki jis ke hamrah bita bachpan
ki jis ke hamrah thi jawani
ki jis ne ek rah par hi gyarah baras guzare the sath mere
wo rah jis par mohabbaten thin masarraten thin
musibaten thin
magar wo zalim
ki jis ne apni KHushi ke aage
na KHud ko samjha na mujh ko jaana
tilism-e-husn-o-yaqin TuTa
to wo nahin thi
jo ham-safar thi
main apni manzil mein apne raste pe ab akela hi ja raha hun
(2543) Peoples Rate This