Waqt Ki Sadiyan
na jaane kitni sadiyon se zamana
misal-e-mauj bahta aa raha hai
sukun ka rang us ko kab mila hai
pareshan hai ye kyun kis ko pata hai
ye betabi har ek lamhe ki kya hai
kabhi aisa bhi hota hai ki dariya
liye tufan hazaron apne andar
sukun se par nazar aata hai bahar
kabhi aisa bhi hota hai zamana
kashakash se bhara hota hai lekin
nazar aata hai ek nuqte pe sakin
zamana kab magar sakin raha hai
ki chalta hi raha hai ye zamana
dama-dam pai-ba-pai lamha-ba-lamha
kabhi aisa bhi hota hai ki rahi
nazar aata hai kuchh rukta hua sa
hirasan muzmahil thakta hua sa
magar rahi safar mein kab ruka hai
ki rahi zindagi ka gar rukega
yaqinan apni manzil par rukega
magar ye zindagi to be-karan hai
nigah-e-shauq ki manzil kahan hai
ki har manzil faqat wahm-o-guman hai
ye hasti jehd-e-gham ki dastan hai
ba-zahir hai subuk raftar-o-kamzor
ghanim-e-shauq ho madd-e-muqabil
to us ka har-nafas aatish-fishan hai
hai yun to zindagi kitni subuk-rau
ajab ek ek lamhe ki tag-o-dau
ye ek lamha guzarta hi nahin hai
magar jab is nazar ke samne se
guzarti hai KHirad bijli ki surat
dikha kar ek anokha sa karishma
to yun mahsus hota hai ki jaise
zamana kitna aage ja chuka hai
zamana aur bhi aage baDhega
liye baham subuk-raftar lamhe
guzarta jaega sadiyon ko raunde
KHirad ki rahnumai ke sahaare
(953) Peoples Rate This