Ummid
zist yunhi na rahegi maghmum
zindagani ko badalna hoga
lakh aamada-e-shazish hai ye shab
is shab-e-tira ko Dhalna hoga
maut ka saya larazta hai to kya
waqt aalam ko laya hai to kya
nama-e-alam jo aaya hai to kya
gham ko sah jaen dilawar ban kar
pi len dariya ko samundar ban kar
gham to aate hi rahenge paiham
aate-jate hi rahenge har-dam
zaKHm KHud paida karenge marham
gham-o-andoh ki kuchh baat nahin
ye koi lamha-e-haihat nahin
azm-e-parwaz na dene pae
apni aawaz na dene pae
raat tarik bhi sunsan bhi hai
azm ke git to gaen aao
shab-e-dijur ko raushan to karen
sham-e-ummid jalaen aao
(874) Peoples Rate This