Tahzib Ki Aayat
jab insan ne paDhna sikha
paDhne laga tahzib ki aayat
miTTi
aag
hawa
aur pani
dushman sare
ban gae yar
us ki aayat ki tafsiren ab
itni hain
ki aql hai dang
lekin ek aisi hai baat
jis se ki banti hai baat
in be-ginti tafsiron ki
har ek insan insan hai
jab insan ne paDhna sikha
paDhne laga tahzib ki aayat
girne lagin diwaren
khulne lage darwaze
jin logon ne
diwaren banwai hain
bhul gae tahzib ki aayat
(863) Peoples Rate This