Saughat
main to hairan hun kis tarah kaTe rah-e-hayat
ek naya moD bahar-gam ubhar aata hai
sar-e-tariki-e-shab khul jo gaya aaKHir-e-shab
phir naya raaz ba-har-subh nikhar aata hai
jaanchta phirta hun mazi ke khanDar hasrat se
dekhta phirta hun har naqsh-e-hasin hairat se
sochta phirta hun kaun aaya tha kab aaya tha
us jagah sath liye kawish-e-takmil-e-hayat
DhunDhta phirta hun shayad ki ye mazi ke nuqush
kuchh pata den ki shab rose bataun kyunkar
gham ke qabil main KHud apne ko banaun kyunkar
nit nae gham ke giran-bar uThaun kyunkar
dur ek husn ka panchhi sa nazar aata hai
qaid kar lun use shayad ki bahal jae ye dil
dil ki aawaz thaki-haari fasurda bojhal
jis ne taKHil ki duniya mein macha di halchal
main koi tifl nahin hun ki bahal jaunga
na karo qaid mujhe husn ke bahlaon mein
ek nazar jhank ke dekho meri aashaon mein
tum hi KHud sharm se ho jaoge pani pani
ek bebas ko magar dete ho kyun aisa fareb
ab main kis rah mein gham-e-dil ka mudawa DhunDun
an-ginat fikr ki rahen nazar aati hain mujhe
ek naya moD ba-har-gam ubhar aata hai
aur har moD nazar aata hai kitna dilkash
jannat-e-qalb-o-nazar chand-sitaron ka jahan
jaise andaz-e-saba jaise bahaaron ka jahan
jaise jadu bhare nainon ke nigaron ka jahan
jaise masum nigahon mein ishaaron ka jahan
jaise phulon bhari shaKHon pe shararon ka jahan
uf main kis rah mein gham-e-dil ka mudawa DhunDun
kis taraf jaun kise dil se lagae rakkhun
zindagi bhar ki phir us zist ko jannat samjhun
har-dam ek ek nafas chahe jidhar ja ke rahun
kaun is zist ko kar sakta hai mahdud-o-muqim
us ki ek ek ada barq-sifat shoala-nafas
ji raha hun nai ummid liye har ek pal
gham liye dil mein ki main kya na bana kyun na bana
KHush hun har gham se ki idrak ki saughat hai ye
soch leta hun ki main kya hun yahi kya kam hai
(1023) Peoples Rate This